“10-10-10 Rule: Blood Sugar Ko Control Karne Ka Asaan Aur Natural Tareeqa” | Health With Waqar

“10-10-10 Rule” Se Blood Sugar Control – Be-Goli Ilaaj! Aaj ke fast lifestyle mein diabetes aur high blood sugar aam bimari ban chuki hai. Har doosra shakhs ya to isse pehle se mutasir hai ya risk par hai. Magar kya aap jaante hain ke sirf aik simple routine – “10-10-10 Rule” – se aap apne sugar levels ko bina dawai ke control mein rakh saktay hain? Yeh rule duniya bhar ke nutritionists aur lifestyle experts mein mashhoor ho raha hai – khaas kar un logon ke liye jo prediabetes ya type 2 diabetes se bachna chahte hain. --- 10-10-10 Rule Kya Hai? Yeh rule teen asaan qadam par mabni hai jo aap har meal ke waqt apna saktay hain: 1. 10 Minutes Before Meal – Pause: Har khane se pehle 10 minute ka waqfa lein. Is dauraan paani piyen, gehri saans lein ya halka walk karein. Yeh aapke brain ko taiyar karta hai ke wo mindful ho kar khaye, over-eating na ho. 2. 10 Minutes After Meal – Walk: Khaane ke foran baad halki sair karein. Sirf 10 minute ki walk glucose ko blood mein zyada absorb hone ...